4/12/10

Tanhayee Ka Jashn

Main yuun apni tanhaayi ka jashan manaya karata hoon
Din bhar tarah tarah ke joke banaaya karata hoon
Jokes khud ko suna kar apne
khud ko hi hasaaya karta hoon
Main yuun apni tanhaayi ka jashan manaya karata hoon
Kya bataaoo kese kese main din ko bitaya karta hoon
Samay kaatne ke liye kabhi jab,
room se bahar nikal jayaa karta hoon
Jab siddiyaa uttar jaata hoon puri to kuch yaad kar
taala lagane fir upar 4th floor jaaya karata hoon
Upper zakar me thak jaata hoon itna
Ki wahin phir bheth jaaya karta hoon
Main yuun apni tanhaayi ka jashan manaya karata hoon
Lunch ke liye jo line sabse lambi dikhti hai mujhko
Jaane kya sochkar bus ussi me lag jaaya karta hoon
Besawad khane ko hazam karne ke liye main aksar
Lunch or dinner ka mazak banaya karta hoon
Main yuun apni tanhaayi ka jashan manaya karata hoon
Room me jab kabhi main TV chalata hoon dost
To k-ee baar dekhi hui film fir dekhkar me dil behlayaa karta hoon
Company friends ki haan me haan milakar
Main apne liye kuch dost jutaaya karta hoon
kabhi room mates ki bekar baaton ko sunta aur
To kabhi unhe apni bakvaas sunaaya karta hoon
Main yuun apni tanhaayi ka jashan manaya karata hoon
Weekends ko to main time pass ke liye sirf
Din me kayi kayi baar nahaaya karata hoon
Jab jaanta hoon ki housefull hoga or ticket milegi nahi
phir bhi film dekhne ke bahane theatar jaaya karta hoon
Main yuun apni tanhaayi ka jashan manaya karata hoon
kaash koi mill jaaye dost purana
Dua ye maangne me mandir jaaya karta hoon
meri posting ho jaaya Ludhiana ke paas
is baat ke liye rabb ko manaaya karta hoon
rabba karde uski posting toon pune
yeh kehkar maska lagaaya karta hoon
Main yuun apni tanhaayi ka jashan manaya karata hoon
kya kahoonga main tumhe milne par
Bus yahi andaza lagya karta hoon
kitne din abhi baaki hai leave ko
hisab ye har waqt lagaya karta hoo
Fir jab time bachta hai to
Aaisi main kavita banayaa karta hoon
Main yuun apni tanhaayi ka jashan manaya karata hoon

No comments :

Post a Comment