Kuch kami hai...

Zindagi kis mod pe aake thehri hai,Sab kuch hai fir bhi kuch kami hai,
Jo chaha tha zindagise ab tak,Sab kuch diya hai khuda ne aaj tak...
                       
Ab to khuda se kya mange ye bhi pata nahi,
Par fir bhi kuch khwaish hai kya ye khabar nahi...

Ye kaisi bechaini hai dil ki,jiska sukun kaha hai iska andaja nahi,
Khuda se mange bhi to kya mange,ab to mangane ke liye bhi kuch raha nahi...

Khuda hi jawab de dil ke is sawal ka,mein to ab kuch samajhane ke kabil nahi,
Ya kuch samajhana mere liye mukkamil nahi...
                       

No comments :

Post a Comment