2/19/10

Haan Yeh Dekha Hain Maine

Shaksiyaten badalti hain kaise, dekha hain maine

Nasihaten badalti hain kaise, dekha hain maine

Jab daman apna khali ho,

Zindagi badalti hain kaise, dekha hain maine.

Berojgari sharamsari mein badalti hain kaise, dekha hain maine

Ashaen nirashaon ki chadar odhti hain kaise , dekha hain maine

Jab kismat mooh pherleti hain

Insaani junoon marta hain kaise, dekha hain maine.

Intezar jo khatam hota nahi , dekha hain maine

Ikrar jise mukam milta nahi, dekha hain maine

Jab sapne dikhakar tod diye jate hain

Aansuon ko aankhon se sukhte hue, dekha hain maine.
Tanhai baat karti hain kaise, dekha hain maine

Judai tadpati hain kaise, dekha hain maine

Jab kudrat khel dikhati hain

Pani mein aag lagti hain kaise, dekha hain maine.

Siskiyan karraon mein badalti hain kaise, dekha hain maine

Umeeden na umeedon mein badalti hain kaise, dekha hain maine

Jab insaani imaan dagmagata hain

Ghar toothten hain kaise, dekha hain maine.

Har roj main sochta hoon "aur kya dekhna baki hain"

Roj main sochta hoon "kyun dekhna baki hain"

Aur isi soch ke saath

Apne aap se main ladta hoon kaise, dekha hain maine…

No comments :

Post a Comment