4/5/10

Khuli Aankhon Ke Sapne...

Aadhi neend mai bistar par lete hue
mai sapno ke aane ka intejaar karta hu
man mai hazaroo sawaal liye
mai javabo ka intejaar karta hu….

Naa kisi se koi shikayat hai
na kisi se koi gila shikva.
Lagta hai koi nahi samjhega kabhi
Mujhko bus mere siva…..

Ghar se door, door hu dosto se
Apne se door hu door hu zindagi se
Par vakt ka pahiya ghumta rahta hai
Par pal nayi karvate badalta rahta hai….

Meri zindagi roj ek kasmakash se gujarti hai,
Aaj jo rah dikhai hai deti
Kal vohi avrodh dikhai deti hai
Aage badne se hai rok deti….

Ghadi ki sui sa ban gaya hu mai,
Chalta to hu bahut sara
Par dayara nahi tod paataa mai
Kar ke apna prayaas saaraa......

Aaj kyo kudh ko akela mehsoos karta hu
Kyuu neend mai bhi kudh ko bechain paataa hu
Kyuu mai itna bakvaas likhta hu
Kyuu mai kudh ko sambhal nahi paataa hu......

Sab kal ke accha hone ka bharosa dilate hai
Par kal bhi to aaj ke baad aataa hai,
aaj ki kosis agar bekar gayi
to kal kaha se accha aataa hai……

Phir bhi mai apne man se do chaar karta hu
Phir kisi ke jadoo bhare shabdo ka intejaar karta hu
Aadhi neend mai bistar par lete hue
mai sapno ke aane ka intejaar karta hu........

No comments :

Post a Comment