4/5/10

Kuch Tumhare Liye

rukhsati ki baat na kar zindagi ka naam le
khawab seene se lagakar, apne dil ko tham le
haan ye mana waqt ki tasweer kuchh badali si hai
par tu nahi hai wo ki jo manzar ko manzil maan le
rukhsati ki......
rastein hain manzilon ke, inka bharosa aur kya
kaun kab tak sath de aur kaun chhoote kab kahan
ummeed na kar, koi chalega sath tere umrr bhar
do kadam jo sang raha, usko hi saathi maan le.
rukhsati ki....
kaun rah-e-zindagi mein, chalte chalte na gira
kaun hai wo, jisne jo chaha use bas wo mila
kaun hai wo, jisko is duniya se kuchh shikwa nahi
kaun hai wo, jo kabhi bhi toot kar bikhara nahi
tere har aanso ko tere haath hi hain pochhte
mole khudka tu samajh, aur dono jahan eenam le
rukhsati ki baat na kar zindagi ka naam le

No comments :

Post a Comment