Shaksiyaten badalti hain kaise, dekha hain maine
Nasihaten badalti hain kaise, dekha hain maine
Jab daman apna khali ho,
Zindagi badalti hain kaise, dekha hain maine.
Berojgari sharamsari mein badalti hain kaise, dekha hain maine
Ashaen nirashaon ki chadar odhti hain kaise , dekha hain maine
Jab kismat mooh pherleti hain
Insaani junoon marta hain kaise, dekha hain maine.
Intezar jo khatam hota nahi , dekha hain maine
Ikrar jise mukam milta nahi, dekha hain maine
Jab sapne dikhakar tod diye jate hain
Aansuon ko aankhon se sukhte hue, dekha hain maine.
Tanhai baat karti hain kaise, dekha hain maineJudai tadpati hain kaise, dekha hain maine
Jab kudrat khel dikhati hain
Pani mein aag lagti hain kaise, dekha hain maine.
Siskiyan karraon mein badalti hain kaise, dekha hain maine
Umeeden na umeedon mein badalti hain kaise, dekha hain maine
Jab insaani imaan dagmagata hain
Ghar toothten hain kaise, dekha hain maine.
Har roj main sochta hoon "aur kya dekhna baki hain"
Roj main sochta hoon "kyun dekhna baki hain"
Aur isi soch ke saath
Apne aap se main ladta hoon kaise, dekha hain maine…