Naya Saal



Naya Saal, Naya Ehsaas, nayee umange, naya Vishwas.
Naye Sapne, naye din, purani yaadein aur thodi baatein...
khula hai aasman, jagi hai dishayein, gunj rahi hai kahi dil ki aawajein..
jo chhut gaya uska na afsos kar, jo pass hai uska lihas kar...
jo chaha wo na mila, jo mila use kho diya, in sabko ab na tu yaad kar...
Naye saal ki tu is tarah shuruaat kar...

Mila hai tuze aur ek mauka, chukne na de tu ye chouka..
puri takat aur lagan laga de tu apni, ise khone ka na vichar kar
Apni galatiyon mein sudhar kar, Safalta ke liye prayas kar....
Naye saal ki tu is tarah shuruaat kar...

Jo sikha, jo samajha, jo jana jo paya, un sabka tu izhaar kar
aane walein saal mein in sabka istemaal kar, apne sapno ko sakar kar
Naye saal ki tu is tarah shuruaat kar...


kuch acche the, kuch bure the,log mile wo sacche -jhoothe the
kabhi tu sahi tha, kabhi tu galat tha, sari baaton ka tu sweekar kar
Un sabko tu maaf kar,aanewalein waqt mein badlaav kar
Naye saal ki tu is tarah shuruaat kar...

Jisne kiya Dhokha, jisne tuze dhar dabocha,
un sabko na teri mehfil mein shamil kar..
sabak sikhlane ka unko sahas kar,nainssafi ke khilaf aawaj kar
Naye saal ki tu is tarah shuruaat kar...

Sapne dekh, Khwahishe rakh, aur unhe pane ki koshishe rakh...
teenso paisath din mile hai tuze saal mein,ek din bhi apno ko na ruswa kar
har ek din ko khubsurat banane ki soch, har ek din ko yaadgar kar
Naye saal ki tu is tarah shuruaat kar ...
Naye saal ki tu is tarah shuruaat kar...

No comments :

Post a Comment